Besabra Gadha
|
|
Jadi
bution ka vyapar karne wale ka ek Gadha tha. Veh roj uspe
saman dho shehar le jata aur uspe baith wapis aata. Gadha
roj ke parishram se bada dukhi tha. Usne vidhata se prarthana
ki ”Hey vidhata! Mera malik badal do mujhe kisi aur ka gadha
bana do”. Vidhata ne samjhaya ”jo mila hai usi me santusht
rehna sikho”. Gadha gidgidana laga nahin aap bas mera malik
badlne ke meharbani karen. Vidhata bole” Tathasto”.
Gadha ab Int (Pathar) banane wale ke yahan lag gaya. Int (Pathar)
banane wala to usse dogana kaam leta. Bhari bhari inten uspe
laad pora din bhatti me chakkar lagwata.
|
Kuch din beete
gadhe ne fir prarthana ki ” hey vidhata ye naya malik to mujhse
bhut kaam leta hai isse acha to main pichle ke sath hi tha mujhpe
daya karo mera malik badal do”.
Vidhata ne afsos
karte hue bola ”maine to tumhe pehle bhi kaha tha aur ab bhi yahi
keh raha hu PARISTHITION SE GHABRAO NAHIN”. Mera malik badal do
gadha yahi dohray jae. Vidhata ne gambhirata se kha ” tumhari ichha
pori to ho jaegi par dhyan rahe yeh aakhiri bar hoga”.
Palak jhapkte hi gadha chamde ke vyapari ke yahan pahunch gaya.
Naya malik gadhe se kaam bhi khoob leta aur khane ko bhi kam deta
aur use khob marta bhi. Gadha apni kismat pe aansu bahata bahata
apne aap se kehta ” yahan to kaam bhi aadhik, maar bhi jyada aur
chara (khana) bhi kam yahi nahi marne ke bad meri khaal (chamadi)
bhi udhed dega.
Contributing
Story Teller
Anurag Khanna
anuragthevegabond@yahoo.com
|