Jaane Kahan Gaye Woh Din
Jaane Kahan
Gayee Woh Din
Jab bhai
bhai ke liye jaan deta tha
Jab dost har
haal mein aapka saath deta tha
Jab nayee
cheezon ka mahatva purani cheezon se kum hota tha
Jab naukar
maalik ka saccha saathi hota tha
Jab chori,
dakaitee aur chaalbaazi ka namonishaan na tha
Jab jhoot
bolna paap maana jata tha
Jab sage
sambandhi hamari tarakki se khush hote the
Jab Sadkon
par gadiya kum log zyada chalte the..........
Aaj
Zamana Badal Chuka Hai
Ya kahen ki
logon ka nazariya palat chuka hai
Bacche Ma
Baap ko kuch nahi samajhte
Tabhi to Old
Age Homes ke bashinde hai badhte
pati patni
ke paas ek doosre ke liye waqt nahi
paisa kamane
ki daur mein lage hai sabhi
Maa, behen,
patni aur beti ki haalat na puchiye
Inki bebasi
ki kahaniyan jaante hai hum sabhi
Na jaane kal
ka sooraj kya dikhayega
Meri asha
hai ki beete hue din phir wapas layega....
Contributing Poet Akanksha is a freelance
content writer.
akanksha_sinha@hotmail.com
|