|
Vidaayi
Bachpan beeta jawani aayee,
Lal gulabi sapne layee,
Inhi sapno se kar rang
chori,
Maine apni dunia banayi,
Priya ne shringar kiya,
Priytam ka injaar kiya,
Bindiya haule se muskayi,
Hathon main mehandi lagvayi,
Lal rang ki chunri lahraayi,
Ab to beti lage parayi,
Maa ki to aakhain bhar aayi,
Boli o RABBA tune kaisi
reet banayi,
BETI ki kyon karni pade
VIDAAYI.
Contributed By : Rinki Gandhi
rinki_gandhi@yahoo.co.in
|