Tayar Ho Ja O Sar Pe Bandh
Kar Kafan
Barudo par
chal kar jo vatan ko pujate hai,
Sena par goliya khakar jo mar metate hai.
Unki jabaaj
kahani kahti Bharat ki rawani,
Tyar ho ja o sar pe bandh kar kafan o Bharat ki jawan.
Samay aa gaya vatan ke karz chukane ka,
Pathshala, maderse me jakar padhna paryapt nahi.
Bas ab sache
me dhalna hoga,
Phir se naya etihas hame ab rachna hoga,
Bharat ki
aajadi ko sarthak karna hoga.
Chale Bhagat, Aajad, Bosh ke padchinho per,
Phir se wah
daor hame lana hoga,
Ram, Krishna ki es dharti ko,
Phir se
swarg banana hoga.
Bas ab Bharat ki jawani ko sanche me dhalena hoga,
Phir se naya
etihas hame ab rachna hoga.
Kranti ki ek naye mashal ab phir se hame jalana hoga,
Desh ki bangdoor ab youwa kandho per saopna hoga.
Rajnit se
door hatkar ab desh ke ley kuch karna hoga,
Es hetu
bandh lo sar pe kafan o Bhart ki jwani,
Phir se Naya
etihas hame ab rachna hoga.
Contributed By
: Anchal Ojha I write articles, poems, Stories and songs.
anchal.ojha@yahoo.com
|