|
|
|
Maa
Maa ek sukhad ahsaas hai,
Jo apne main hi kuch khas hai,
Jab jab dukh padta khud par,
“ MAA” naam aata jubaan par,
Maa ki gode main swarg lagta hai,
Har maa main rab basata hai,
Maa kaa saaya rahane se,
Bude bhi bcche lagate hain,
Lekin bin maa ke bcche bhi ,
Bude ban jaatew hai,
Maa ka pyaar jawan rakhta hai umer bhar,
Bin maa ke kat hi nahi pata ek bhi pal,
Aaj phir mann bhar aaya kyonki,
MAA ka pyaar phir yaad aaya.
Contributed By : Rinki Gandhi
rinki_gandhi@yahoo.co.in
|
|
|
|
|