Khawab
jism marte
hain, khawab marte nahi
aap kyun mera yakin karte nahi
maa ki
aankhon me beti ki shadi ka khawab
beta bada aadmi bane, ye pita ka khawab
pote-potion
ko khilana dada ka khawab
pote ki shadi dekhoon, hota hai ye dadi ka khawab
aarzoo marti
nahi, khawab marte nahi
aap kyun mera yakin karte nahi
hote hai dadi-nani ki kahaniyo me khawab
bahut lazmi hai zindagi me khawab
chupe hote
hain har iafj har man me khawab
ye khawab apne dilon, apni sanson ki tarha
reza-reza
hokar bikharte nahi
aap kyun mera yakin karte nahi
khwaab, rosini or hawa ki tarha hote hain
khawab, azad mizaz khushbuon ke jhonke hain
manind-e-waqat ye bhi kahin taharte nahin
aap kyun mera yakin karte nahi
khawab prerna hain, khawab satrot hain
har hakikat, hakikat se pahle
samjho ek
khawab hi hota hai
socho! Chand par jane ka agar
hamare zahan
me koi khawab nahi hota
To ham kabhi chand par utarte nahi
aap kyun
mera yakin karte nahi
Contributing Poet Dr.Anuj Narwal Rohtaki
(india-09354825924) Ghazal's Book
Titled - '' WHO JAISA BHI HAI MERA HAI '' Published in 2005.
|