|
ISHQ
Ishq karke hamne khuda ko
pa liya
Tumhe paya toh laga, zindagi ko pa liya
Bikhar jaate hum toh
Koi namo-nishan bhi nahin hota
Kya vajood reh jata hamara
Agar tumse pyaar nahin hota
Chaand banke hamne roshni
ko chura liya
Ishq karke hamne khuda ko pa liya
Kya khabar ki zindagi kin raahon pe le jati
Aate huye toofan ki tarahn mujhe baha le jati
Sagar banke hamne kinare ko pa liya
Ishq karke hamne khuda ko pa liya
Is duniya mein bas ek
khushi ki talaash thi
Is dil ko dhakana tha aur dhakan ki talaash thi
Bas yun hi chalete-chalte nayi manzil ko pa liya.
Ishq karke hamne khuda ko pa liya.
Contributed By : Shafali Sharma Shafali_Sharma55@yahoo.com |