|
|
|
|
|
|
|
|
|
Content Tip
|
|
|
|
| |
Write
Poetry to express yourself
|
|
|
|
|
|
|
Yun Dibbey Mein
Yun
Dibbey mein chadi hasina
Yun Dibbey mein chadi hasina, Har kisi ka choota pasina
Barish wali shaam thi yaaro, June ka tha who garam mahina
Sar sey lekar paanv tak who thi bhgi billy, Lag gayee aag Dibbey
mein bina machis ki Tilly
5 Meter ki saadi mein, chappal kolhapuri pehney
Thodey bahut pehan rakhey they laj key usney gehney
Sharmati, ithlati itrati, sakuchati sharmati
Kisi sey nazrein churati jawani, kisi ka chaain churati jawani.
Hathaliyon se ponchti paani kabhi to
kabhi kabhi julfon ko apni nikharey, mar mitengey iskey liye desh
ke lakhon kunwarey
itr ki khushboo badan sey uskey paani mein chan chan kar aati
aissa lagta jindagi jaisey mujhey apney pass bulati
dhuley honth, dhula kazra, chera dhula hua
jaisey koi suraj mukhi ka fool barish ke baad khila hua
sochta raha itna sundar tohfa kis khush nasib ko dahej mein mila
hua
khankhanti chudiyo ney kiya sawal, kyon pyarro kar diya na minton
mein halal
raha na gaya sharma ji sey mere kaan mein phusphusaye
agar maut bhi itne hasin ho to abhi galey lag jaye.
Contributed
By : Harish Kumar Purohit M.A (HINDI) From Delhi University
harish.purohit@ndpl.com
|
|
|
|