Badal Gaya Insaan
Badal gaya
insaan dekho badal gaya insaan
Bhool gaya apna farz aur imaan
Badal gaya
insaan dekho badal gaya insaan
Jhooth ke sehlaab mein beh gaye insaan ki sachaee
Abhishaap ban kar reh gaye kalyug mein bhalaee
Bahe hain
aansu usi ke jis ne ki achaee
Neki ne to is yug mein ha jhooth se muh ki khaee
Badal gaya
insaan dekho badal gaya insaan
Dhookhe aur phareb ne aisa man ko ghera
Ki buraiyoon ka faal gaya har taraf andhera
Lalach ne
insaan par aisa jaadu fera
Rishtoon mein bhi jhalak raha ha tera aur mera
Aa insaan khaa gayee teri insaaniyat
Kyoo badal gaye teri neeyat
Kyoo nahi
rakh paya tu sachaee ka maan
Tune to kar diya maanavta ka apmaan
Badal gaya
insaan dekho badal gaya insaan
Contributing Poet Harmeen Kaur Soodan, I am a
homemaker and based out of Uganda. I have recently moved from India to
Uganda with my family. I have been writing poetry since young and now
decided to submit my work to your collections on a much wider platform -
the internet.
harmeen.soodan@gmail.com
|